Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

@sh jais (live the life otherwise life leaves u.....)   (1539 Points)

25 June 2013  

Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley hume yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paane ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hai hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai

Hum apni zindagi se kiun haar jayein
agar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai

Source : Web