Main Beti Ban K aayi hun

janak (post graduation) (1327 Points)

11 December 2010  

Main beti bankar aayi hoon 

Maa-baap k jeevan mein 

Basera hoga kal mera 

Kisi aur k aangan mein 

Kyon yeh reet bhagwan ne 
banayi hogi 

Kehte hai aaj nahi toh kal tu 
parayi hogi 

De kar janam pal-poshkar jisne 
hamein bada kiya 

Aur waqt aaya toh unhi haathon 
se hamein vidaa kiya 

Betiya isse samajhkar paribhasha 
apne jeevan ki 

Bana deti hai abhilasha ek atoot 
bandhan ki 

Kyon rishta hamara itna ajeeb 
hota hai 

Kya bas yahi hum betiyon ka 
naseeb hota hai ? 

?? 
???