Wo kagaz ki kasti..aur pani ka kinara

CA Pallav Singhania (❤ Work Hard Party Harder ❤)   (32532 Points)

08 December 2011  

 

Kagaz ki kashti thi aur pani ka kinara tha,
 
Khelne ki masti thi aur dil awara tha,
 
Jeb khali  thi, magar Dil Hara bhara tha,
 
Facebook ka nahi,Video games ka Zamana tha.
 
Jab Rangoli thi,Chandrakanta ka Drama tha,
 
Jab Harry Potter nahi,Dil Shaktimaan ka diwana tha,
 
Toot'te dil nahi, Khilone Tootne  ka Rulana tha,
 
Jab Chocolate and Coldrinks ka khazana tha,
 
Kam padh kar bhi ache Marks lana tha,
 
Aakhon me aasu nahi har pal Khusi ka thikana Tha,
 
Jab Boss ki apreciation se DAD ka daat pyara tha..
 
 McDonald ka pizza nahi Sirf Maggi he Khana tha,
 
 
Kahan aa gaye jawani ke daldal main,
Kya kahen wo nadaan bachpan hi kitna pyara tha..!
 
 
 
 
 
Ye Unn Dino ki baat hai...
Jab Congress nahi BJP ka Zamana tha!!!!