PYAAR KARNA GHUNA HAI KYA....??????

1992 views 35 replies

PYARR KARNE VALLE MARTE NAHE MAAR DIYE JAATE HAI,

HINDU KEHTE HAI JALA DO INHE,

MUSLIM KEHTE HAI DAFNA DO INHE,

PAR KOI YE NAHE KEHTA KE MILA DO INHE...........):):)

CONCLUSION : WHY CANT PEAPLE UNDERSTAND THE WORTH OF LOVE.WHEN TWO PEAPLE LOVE EACH OTHER,THEY SHARE NOT ONLY LOVE BUT THEIR LIFE,UNDERSTANDING,EMOTIONS,ETC.SO HOW CAN WE THINK OF SEPRETING THEM.ITS A SERIOUS CRIME ........!!!!!! PLEASE UNDERSTAND THEM.....!!!!!!!!

Replies (35)

Very true, but not in all cases.

thanks for sharing 

hey sanyam bhai..... truly said.....
 

Originally posted by : Vishal

Very true, but not in all cases.

thanks for sharing 

IMPORTANT QUESTION:  if love is blind.. then how can we have love at first sight ? :P

Originally posted by : Vishal

Very true, but not in all cases.

thanks for sharing 

Because 98% Love marriages are unsucessful...

"KOI DIWANA KEHTA HAI,KOI PAGAL SAMJATA HAI;

MAGAR DHARATI KI BECHAINI KO BAS BADAL SAMAJATA HAI,

ME TUJSE DUR KAISA HOON,TU MUJSE DUR KAISI HAI..

YE TERA DIL SAMJATA HAI YA MERA DIL SAMJATA HAI".......................................................

 

Amawas Ki Kaali Raaton Mein Dil Ka Darwaja Khulta Hai,
Jab Dard Ki Pyaali Raaton Mein Gum Ansoon Ke Sang Hote Hain,
Jab Pichwade Ke Kamre Mein Hum Nipat Akele Hote Hain,
Jab Ghadiyan Tik-Tik Chalti Hain, Sab Sote Hain, Hum Rote Hain,
Jab Baar Baar Dohrane Se Saari Yaadein Chuk Jaati Hain,
Jab Unch-Neech Samjhane Mein Mathe Ki Nas Dukh Jaati Hain,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.

Jab Pothe Khali Hote Hain, Jab Har Sawali Hote Hain,
Jab Gazlen Raas Nahin Aatin, Afsane Gaali Hote Hain.
Jab Baasi Feeki Dhoop Sametein Din Jaldi Dhal Jaata Hai,
Jab Suraj Ka Laskhar Chhat Se Galiyon Mein Der Se Jaata Hai,
Jab Jaldi Ghar Jaane Ki Ichha Mann Hi Mann Ghut Jaati Hai,
Jab College Se Ghar Laane Waali Pahli Bus Chhut Jaati Hai,
Jab Beman Se Khaana Khaane Par Maa Gussa Ho Jaati Hai,
Jab Lakh Mana Karne Par Bhi Paaro Padhne Aa Jaati Hai,
Jab Apna Har Manchaha Kaam Koi Lachari Lagta Hai,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.

Jab Kamre Mein Sannate Ki Awaj Sunai Deti Hai,
Jab Darpan Mein Aankhon Ke Neeche Jhai Dikhai Deti Hai,
Jab Badki Bhabhi Kahti Hain, Kuchh Sehat Ka Bhi Dhyan Karo,
Kya Likhte Ho Dinbhar, Kuchh Sapnon Ka Bhi Samman Karo,
Jab Baba Waali Baithak Mein Kuchh Rishte Waale Aate Hain,
Jab Baba Humein Bulate Hain, Hum Jaate Hain, Ghabrate Hain,
Jab Saari Pahne Ek Ladki Ka Ek Photo Laya Jaata Hai,
Jab Bhabhi Humein Manati Hain, Photo Dikhlaya Jaata Hai,
Jab Saare Ghar Ka Samjhana Humko Fankari Lagta Hai,
Tab Ek Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.

Didi Kahti Hain Us Pagli Ladki Ki Kuchh Aukat Nahin,
Uske Dil Mein Bhaiya Tere Jaise Pyare Jasbat Nahin,
Woh Pagli Ladki Nau Din Mere Liye Bhooki Rahti Hai,
Chup-Chup Saare Vrat Karti Hai, Par Mujhse Kabhi Na Kahti Hai,
Jo Pagli Ladki Kahti Hai, Main Pyar Tumhi Se Karti Hoon,
Lekin Mein Hoon Majboor Bahut, Amma-Baba Se Darti Hoon,
Us Pagli Ladki Par Apna Kuchh Adhikar Nahin Baba,
Yeh Katha-Kahani Kisse Hain, Kuchh Bhi To Saar Nahin Baba,
Bas Us Pagli Ladki Ke Sang Jeena Fulwari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai

By Dr. Kumar Vishwas

agar gunah hai tab bhi karenge

kya bolte ho sanyam bhai

i think isliye seperate karte hai kyuki agar unhe mila denge to, wo jhagad kar khud alag ho jaegenge kabhi na kabhi aur pyar ka naam badnam karenge....

jab tak koi chiz hume milti nai tab tak hii wo khas hoti hai baad me bakwas hoti hai...

just like CA exam as soon as we clear it we forgot the value n importance of it..

warna roz dua mangte rehte hai bhagwan paas karade..

good post sanyam...

Originally posted by : mallika agrawal


i think isliye seperate karte hai kyuki agar unhe mila denge to, wo jhagad kar khud alag ho jaegenge kabhi na kabhi aur pyar ka naam badnam karenge....


jab tak koi chiz hume milti nai tab tak hii wo khas hoti hai baad me bakwas hoti hai...


just like CA exam as soon as we clear it we forgot the value n importance of it..

 

sorry madam maliika dont agree with you

can you tell me jab log ca ban jate hai to uska kaise importance khatam ho jata hai

aur agar imporatnce khatam hone ke bawjood log kyu  kar rahe hai

then love should also not be an exception




 

Pata nae yaar jab hoga tab pata chalega.......

Goooooooood one yaaaaaaaar

GOOD POST BRO...


 

 


CCI Pro

Leave a Reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register