Exam Fever shayari

kamal kishor sen (STUDENT Rajasthan) (2156 Points)

14 July 2011  

 

Exam Fever shayari

Koi umeed bar nahi atti

nakal ki sorat nazar nahi ati

staff room mai to khob ronak hai

par teacher class mai nahi ati

pahlay ati thee theek thak english

B.Com karnay kay baad zara nahi ati

jantay hain parhai hai zawar

par tabyat udhar nahi ati

parhnay batho to neend ati hai;(

cable lagao to nahi ati

canteen hi hai duniya apni:)

wahan bell ki awaz nahi ati

teacher mujh ko kahtay hain

tum ko fail hottay sharam nahi ati…