CA fianlist BCOM(H) CS student
577 Points
Joined March 2009
Originally posted by : Mr. JHA |
 |
@ mayank maine already ramdev ke video ko dekha hai. . . . Unka kahana hai ki sabhi savaindhanik pado ko lokpal ke under aana chahiye par PM or CHIEF JUSTICE par vichar hona chahiye. . . . . Parantu mere anusar vichar ka koi sawal hi nahi uthata hai.. . . . . Baba ji yaha par bhi politics khelate hue Chit bhi apna aur pat bhi apna rakh liya hai. . . . . Mere accourding atleast clear to ho ki wo kya kah rahe hain??? |
 |
dost , baba ji ka kehna hai ki agar jan lok pal itna sashakt ho jayega ki wo agar chief justice aur PM tak ko laat maar de , to is baat ki kya guarantee hai ki jan lokpal khud apni power ka misuse nahi karega .
chief justice aur PM ko hamare samvidhaan ke tahat , saare kharche muft , poori suraksha pradaan ki jaati hai taaki , wo apna kaarya bhaar sakushal roop se dekh sake aur kisi bhi prakaar ke lobh lalach ya bhay se grasit naa ho .
aise me PM ke aur cheif justice ke corrupt hone ke chance aur bhi jyada nyoon ho jate hain
aur sabse jaroori jo bat hai , wo ye hai ki kya ye mumkin nahi ki hamare jan lokpal saahab ko hi koi videshi aakranta khareed le aur hamaree poori samvaidhanik kaarya pranaali ko sh*thil kar de ?