Sangharsh.....

CMA. CS. Sanjay Gupta ("PROUD TO BE AN INDIAN")   (114215 Points)

29 September 2010  

Ye zindagi sangarsh hai.

 

Kabhi Dard Hai, Kabhi harsh hai,
Ye zindagi sangarsh hai.

Kabhi har hai, kabhi jeet hai
Yahi zindagi ki reet hai
Hai jeeta wahi is jag mein
Jo haar ko bhi gale lagata
Saharsh hai.
Kabhi Dard Hai, Kabhi harsh hai,
Ye zindagi sangarsh hai.


Na rukega tu, Na jhhukega tu
Path ki badhaon se
Na darega tu, bas ladega tu
Tere jeevan ka lakshya
Wo taro bhara akash hai.
Kabhi Dard Hai, Kabhi harsh hai,
Ye zindagi sangarsh hai.


Lakshya ko hi apna sab kuch jisne mana hai,
Gir kar uthana uth kar sambhalana
Jis ne jana hai
Paya usi ne yahan utkarsh hai.
Kabhi Dard Hai, Kabhi harsh hai,
Ye zindagi sangarsh hai.