CA Final
207 Points
Joined June 2009
mere sapne adhure sapne..
socha tha aasma me udne ka,
ek pag bhi chal na paya main.
socha tha kisi ke dil me utarne ka,
par uske dil me jagah bana na paya main.
socha tha duniya ko hila denge hum,
ek patta tak hila na paye main.
socha tha kuch kar gujarna hai apno ke liye,
kisi ko apna bana hi na paya main.
socha tha kisi ko palko par sajane ki,
par usse ek lafj bhi kah na paya main.
socha tha duniya ko dikha denge hum kya hai,
par is main ko hum me badal na paya main.
mere sapne adhure sapne...