CA sucks.......

Prateek jain (Chartered Accountant) (367 Points)

05 August 2011  

HAMARA EK DOST 7 BAR C.A. FINAL DENE PAR BHI JAB

PASS NAHI HUA TO USNE

BHAGWAN SHANKAR KI TAPASYA SHURU KAR DI



Hey ! Prabhu tum jag ke swami ho,

Is yug mein antaryaami ho,

Ek ungli par prithvi utha sakte ho,

Ek netra khulane par pralaya la sakte ho,

Par ek kam hai jo tum nahi kar sakte,

Kitna bhi chaho par C.A. pass nahi kar sakte.



PRABHU BOLE

Yah aasur kon hai, is atyachari ka kya naamhai,

Itna to batao ki C.A. kis chidiyan ka naam hai.



DOST BOLA

Kosata hoon usko jisne bazar banaya,

Len-den ke liye Rupiya chalaya,

Sahukaar jise munshi kehkar rakha karte hai,

Padhe-likhe Munshi ko hi log C.A. kaha karte hai.

1947 mein desh aazad hua to logon ne vo din khushi se manaya,

1948 mein Gandhiji chale gaye to hamne shok manaya,par aane wale sal mein ek bada bhuchal aaya,

1949 mein jab C.A. Regulation Act aaya.



Bas tabhi se shuru hui yeh kahani hai,

Har student ki aankhon mein pani hai,

Intelligence & patience iske upchar hai,

Kya aapka yeh pariksha aajmane ka vichar hai.

PRABHU BOLE THIK HAI MEIN C.A. KARKE DEKHUNGA AUR ARTICLESHIP KARNE KE LIYE PWC PAHUNCH GAYE.

PWC ka darwaza khatkhataya,

Ander se kisi ne aawaz dekar bulaya,

102,103 saath mein laye ho,

trishul aur damru liye kya nautanki karne aaye ho.



Dusare din Prabhu ki aankhon mein aansu aaye,

Jab apne bade-bade bal katwaye,

Tisari aankh ko chhupa liya tha,

Ab to pant aur shirt bhi sila liya tha.

Bina tie ke baat nahi jami thi,

Haath mein bas laptop ki kami thi,

Pehle thode critical lagte the,

Ab PWC ke article lagte the.

Jis haath mein trishul rehta tha,

Us haath mein pen lal tha,

Audit mein voucher aur file dekhkar,

shivji ka bura hal tha.

PRABHU BOLE



Vatsa ek baat batao yeh Sunday kya hotahai,

Log us din bade maze karte hain jab Sunday hota hai,



To matlab 6 din ke bad kal hum bhi maze karenge,

Nahi Prabhu aaj baithkar aap kal ke review ki

taiyaari karenge.



Din bitate gaye sabse bada mahina aa gaya ,

October mein kam karke Shivji ko pasina aa gaya

PRABHU KHUD SE BOLE

Hey Bhagwan itna kam Kailash par bhi kabhi nahi kiya,

Kya paap kiya tha maine jo mujhe yaha la diya,

DOST BOLA

Abhi to aapko Inter Pass karna hai,

Khud ko to FINAL mein khub yaad karna hai.

3 Mahine Shivaji ne khub padhai ki, Inter pass hone

par hamare dost ne unhe badhai di



BHAGWAN BOLE

Yeh to bada aasan kam tha,

Kya C.A. is chidhiya ka naam tha.

DOST BOLA

Inter to pinzare ka naam hai,

Jisme Panchhi phas jata hai,

Andhar pade Apple ko dekhkar,

Sada ke liye Dhans jata hai.



SHIVJI NE Industrial Training KARNE KI SOCHI

Shivji ko I.T. karne ka shouk chada,

Apply karne chal pade,

Chhan liye the har daftar,

Har bank dekh liye bade-bade.

Yahi to daulat ki maya hai,

Jisne CITI BANK ka banaya hai,

Shivji ki kismat bhi chal padi,

10000 ka stipend dekhkar bole apni to nikalpadi.



FINAL ka course dekhkar Prabhu Hairaan huye,

Kab padunga yah sochkar pareshan huye,

Dost bola yah to bas shuruwat hai,

Isi soch mein bitegi aapki har raat hai.

Pahle paper ki raat thi,

Badi pareshani ki baat thi

Chinta dikh rahi thi Prabhu ke chehare par,

Soch rahe the kuchh bat rah-rah kar.



APNE MURT (ORIGINAL) ROOP MEIN AAKAR PRABHU BOLE

Khush hoon mein tumhari mehnat dekhkar,

Achraj hai mujhe tumhara patience dekhkar,

Mehnat yunhi pani ho jaye to dukh hota hai,

Insaan ho tum tumhara bhi man rota hai

Par waqt par bharosa rakh tu bhi pass hoga,

Kal har C.A. student ka aur mera saath hoga,

Is bar taiyaari aur jor se kar, mujhe phir bulana hai,

Apna khud ka office tujhe mujhse hi khulvana hai.