A poem.......

CMA. CS. Sanjay Gupta ("PROUD TO BE AN INDIAN")   (114215 Points)

22 September 2010  

Budhia

Purane akhbaron ke bojh tale ek budhia ja rahi hai sadak par,
peeth uski jhuk gayi hai, josh lekin kum nahi hai.

Subah ki sard havaon ka uspe asar kahan hai,
raddi bikne ki jaldi me paon thirakte ja rahe hain.

Aaj mile paison se saag roti banaoongi,
aisa soch budhia man hi man muskara rahi hai.

Kuch door aur chali hai wo, bojh uska aur badha hai.

Kamar tedhi ho rahi hai, umang dil ka aur badha hai.

Bojhe ka andaz le uske man me hilor uthi,
ab to matar ki sabzi ka bhi aas bandha hai.

Achanak ye drishya dekh main sochta hoon,
kya kismet hai teri budhia, tujhe kal ki nahi balki sirf aaj ki chinta hai,

hum jaison ko dekho, khyali pulav pakate saari umar katti hai,
aur paane ki echha me thode ka bhi anand lene ka samay kahan hai?.