Zindagi Ki Kahani, Shayri ki Jubani

Rahul Sharma (Student + A.M.- Finance)   (2530 Points)

02 February 2011  

Zindagi se na rakho kabhi koi shikayat tum
yeh hasne ke degi mauke hazaron tumhein
muqabla karo hasske pareshanion ka tum
agar musibat aaye koi jo zindagi mein tumhein
jo aisi soch rakhoge har baaar tum
safalta milegi hi aakhirkar tumhein
hansne ke mauke degi zindagi baar baar tumhein.



Raah mein kaante ek do nahi hote
raah kaanton se bhari hoti hai
manzil us raah ke akhiri chor par khadi hoti hai
jahan har kadam par milti ek nayi chouti hai
dekh use jinke hounsle dagmagaate hain
ve manzil ko bhula kaanton mein ulajh jaate hain
jinki nigaah manzil par hoti hai
ve kaanton pe hi chalkar manzil ko paate hain.



 

Tufaan ki kami nahi jeevan mein
ladte hue safar karna hoga
jo milenge zakhm safar-e-rahon mein
unhe hi zindagi ka tajurba kehna hoga
laakh zakhm khaane par bhi
har zakhm naya hoga
tajurba kitna hi kyu na ho
har safar naya hoga




Lehron se darr kar nauka paar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti,
Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai,
Chadti deewaron par se saw baar fisalti hai,
Mann ka vishwaas ragon mein sahas bharta hai,
Chadkar girna,girkar chadna naak ragardta hai,
Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti,
Koshish karne vaalon ki haar nahi hoti!
Dubkiyan samundar mein gotakhor lagata hai,
Ja-ja kar khaali haath laut aata hai,
Milte na sehej se moti paani mein,
Behta duguna utsah isi hairani mein,
Mutthi uski khaali har baar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti!

A-safalta ek chunauti hai swikaar karo,
Kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo,
Kuch kiye bina hi jai-jai kaar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki kabhi haar nahi hoti!!




Aisa Nahi Ki Raah Mei Rehmat Nahi Rahi
Pairo Ko Tere Chalne Ki Aadat Nahi Rahi
Kashti Hai To Kinara Nahi Hai Door
Aagar Tere Irado mein Bolandi Bani Rahi





and My fab last one......hope you like it.......



 

HEERE KI SHAFAK HAI TO ANDHERE MEIN CHAMAK,
DHOOP MEIN AAKE TO SHISHE BHI CHAMAK JATE HAIN.