SAPNO ME JINDAGI

Aap sabhi ko yaad karke tanhayi ka ehsas hona

neend ke agosh me khuch is tarah kho jana

sapno me bhi hakikat ko hi pana

mil ke bichad jane par do aasu bahana

bichad ke mil jane par khush ho jana

 

har sapne ko kuch is tarah se pirona

jaise resham ki dor me moti pirona

subha hote-hote un motiyon se haar banana

haar ko gale me saja kar dekhne ki iccha jatana

aankh khulte hi motiyon ke bhaar se haar ka bikhar jana

 

phir dinbhar un motiyon ko sametne ki koshish karna

shaam hote-hote sapno ki duniya se ruth jana

buje se iraden lekar bistar me ghus jana

aap sabhi ki yaadon ka ek baar phir satana

aur phir sapne sajane ki ek choti si bhul kar baithna

 

aise hi kai din bitana aur phir aage badh jana

naye jeewan me kadam rakh naye doston se haath milana

unke sath din bhar ke pal ka lupt uthana

magar raat hoye-hote aap sabhi ki yaadon ka dastak dena

aur phir sapne sajane ki ek choti si bhul kar baithna

 

 

iske saath jeevan ka ek baar phir naya mod lena

phir naye logo se mil apne jeevan me mila lena

unse mil kar jeewan ki sachai ki parchai lena

raat hote hi yaadon me is baar unhe bhi shamil kar lena

aur phir sapne sajane ki ek choti si bhul kar baithna

 

 

jeewan ka akhri dor me chote-mote dhakke khana

din bhar baithe-baithe biti hakikat ke sapane bunana

unhe dekh-dekh kar in aankhon se aasuo ka beh nikalna

raat hote-hote goli ki 3-4 dose lekar so jana

aur phir sapne sajane ki ek choti si bhul kar baithna

 

 

mout ka hamare dwar par bade pyar se dastak dena

khushi-khushi mout ki aur hamare kadmo ka badh jana

mout par hamari, logo ka magarmacha ke do aasu bahana

raat hote-hote is zamin ki goud me dafna diya jana

aur har raat sabhi ko yaad kar ke mout ka lupt uthana.

Replies (1)

Nicely Written

Leave a Reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register  

Company
ARTICLESHIP 23 October 2026
CA Articleship / Article Assistant

M N Rao & Associates LLP

Vijayawada

CA Inter

View Details
Company
ARTICLESHIP 25 October 2026
Article Intern (CA Articleship)

Arpan Bohra & Co

Hyderabad

CA Inter

View Details
Company
24 October 2026
CA Industrial Trainee

Fytomax Nutrition Private Limited

Aurangabad

CA Inter

View Details
Company
23 October 2026
Sr. Accountant

SANKARAN & KRISHNAN

New Delhi

B.Com

View Details
Company
Featured 07 November 2026
Paid Assisstant

DPV & Associates

Chennai

CA Inter

View Details
Company
10 November 2026
Direct Tax Manager

CAAQ CONSULTANCY PVT LTD

New Delhi

CA Final

View Details
Company
13 November 2026
Accountant

New Mobile India

Muzaffarpur

B.Com

View Details
Company
31 October 2026
Accountants

sankaran and krishnan

New Delhi

B.Com

View Details