Rahul tum kehte ho main apni thinking badal lu, meri thinking to main badal sakta hun par dusron ki nahi.
aur main kanhi par bhi hun chahe professional life mein ya personal life mein main akele hi sab kuch nahi kar sakta , tumhari hi baat ko rakhu to interview bhi koi dusra hi leta hai main khud apna interview nahi le sakta.
aur main apni zindagi mein itna zarur jaana hai ki hume kisi apne ki thinking change karni ho to bohot jyada waqt lag jaata hai, aur agar kisi praaye ki baat kar to its impossible to change that.
Log apna gussa kabhi pyar se nikalte hai to kabhi chup reh kar.
Tum aur Ankur apna gussa mujh par Pyar se nikal rahe ho,
aur tum gussa kis liye ho kyonki maine apni soch tumhare saamne rakh di, ye baat main bohot achhi trah jaanta hu ki hume apni soch har ek ke aage freely nahi rakhni chahiye warna ye samaaj hume buri nazron se dekhta hai, upar se pyar aur andar se phir nafrat bhar jaati hai.