Mahatma and the half spoiled apple

others 634 views 3 replies

ek bar ki baat hai....ek gaon me ek mahatma aaye...wo bahut bade naami aur prakami thay...

Dur dur se log unse milne aa rahe thay...Raja Maharaja......sab ki bheed lagi hui thi unse milne ke liye...

Koi ubhe hire....koi Sona....koi Apni jayedaat...bhet kar raha tha...

Mahatma unki bhet ek haath se swikar kar rahe thay....

Sab koi unka Prawachan sunn ke liye jama ho rakhe thay.....

Ussi gaon me ek budhi aurat(old woman) thi jo ghar ghar ja kar daan(bhiksha) mangti aur apna gujara karti...

Usse pata chala ki gaon me ek mahatma aaye hue hai...uss din sab mahatma se milne gaye hue thay...uss bechari Budhia ko kahi se bhiksha nahi mili.....uske paas bas ek seb (apple) tha jo usse pichle din mila tha....

wo bhi mahatma se milne gayi....raste me usne aadha (half) seb kha lia tha...jab wo waha pahuchi toh dekha....

Waha sab raja...Maharaja....Gaon ke log Mahatma ko Bhet de rahe hai....ye dekh kar Budhia ne socha uske paas dene ke liye ye aadha seb hi hai...wo Mahatma ke paas gayi aur Mahatma ko wo jhoota ...aadha khaya hua seb bhet me de deti hai...

Mahatma...uski bhet dono hatho se swikar kar lete hai...aur bade aanand se kha lete hai...

ye dekh kar sab hairan ho jate hai...fir sab mahatma se poochte hai..."ye kya Mahatma ji...hum apko itne kimti Hire...Sone...Moti...Zameen>..Jayedaat ...Bhet me di...usse apne ek haath se swikar kiya...aur iss Budhia...bhikaran ki jhooti...sade hue seb ko dono haatho se lekar ap itne khush ho gaye"??????????

 

MAHATMA NE KAHA........"RAJAN....AAP LOGO NE MUJHE JO BHI BHET ME DIYA WO AP LOGO KE SAMPATTI(PROPERTY) KA EK PRATISHAT ( A SINGLE PERCENT) KE MATRA HOGA....

PAR ISS BUDHI AURAT NE JO MUJHE DIA WO TOH ISKI SAARI JAMA PUNJI HAI...(TOTAL WORTH)..

ISS KE PAAS WO SEB KE SIWAYE TOH KUCH BHI NAHI THA.........USKE MOOH KA AKHRI NAWALA THA WO SEB...

JO AAP SABKI BHET SE KAI GUNNA PYARA AUR KIMATI HAI...

THE MAHATMA WAS "GAUTAM BUDDHA"

 

 

Replies (3)

Really wonderful sharing Aryan.......if we really observe the qualites of the great saints like Gautam Buddha, Mahavir and apply it in our life our life will change like a miracle and we will live a very peace ful life...Thank you very much

Rabindranath Tagore wrote a poem on this story - "The Greatest Alms". Read it a long time ago. In Class- X, 1989. Thanks for sharing and reminding me that I'm an old man. surprise

SOURAV DA!!!

U R STILL YOUNG  AND COUNTING!!!

SOURAV DA!!! U ROCK!!!


CCI Pro

Leave a Reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register