ek sachi kahaani - hindi mein

Sangam (CA) (1329 Points)

23 May 2010  

 

Ek bar ek businessman hota hai uski ek beti thi.  Ek bar use pata chala ki uski beti ek cleaner se pyar karti hai,  use bahut gussa ata hai.  Vo un dono ke khilaf ho jata hai.  Isliye vo ladka or ladki ghar chod dene ka faisla karte hain.  Jab vo dono ghar se chale jate hain to unke parents ko unki yaad ati hai or vo newspaper main add dete hain,   jisse ki vo dono ghar vapas a jaye.  Jab un dono ko pta chalta hai to vo ghar waapas jane ka faisla karte hain.  Raaste mein ladka ek shop se  uske liye wedding dress leta hai,   aur  sadak paar karke uske liye phool lene jata hai.   Road cross karte waqt ek car usko takkar mar ke chali jati hai,    aur vo wahin par mar jata hai.  Ladke ke khoon ke chite ladki ke wedding dress par lag jate hain.  Uski maut se dukhi ho ladki ko bahut sadma lagta hai or vo bahut udas  rahne lagti hai.   Ek din ladki ke pita ko ek sapna ata hai vo sapne mein ek budhi aurat ko dekhte hain,  vo kehti hai ki tumhari beti ke wedding dress par ladke ka khoon laga hai usko saaf kar do. Lekin vo use ignore kar deta hai.  Dusre din yahi sapna uski maa ko ata hai vo budhiya kehti hai ki apni beti ke dress par se khoon ke daag saaf kar do. Vo apni beti se khoon saaf karne ke liye kahti hai. Vo ladki un daago ko saaf karti hai par kuch nishaan baki reh jaate hain.  Usi rat ladki   ko bhi  wahi sapna ata hai.  Vo subah hone par phir se us dress ko saaf karti, par ab bhi nishaan baki reh jate hai. Budhi aurat phir se sapne mein wahi dohrati hai. Aur agli raat vo use aakhri chetavani deti hai ki agar abki baar khoon ke nishaan reh gaye to uske liye bahut bura ho sakta hai.

 

Agli suabah ladki udas bethi hoti hai ki tabhi koi darvaje ko knock karta hai jaise hi vo darvaja kholti hai vo dar se kaapne lag jati hai, uske samne wahi budhi aurat khadi hoti hai aur uske hath mein ek nile rang ki cheej hoti hai. Aap soch bhi nahi sakte ki vo kya  cheez hoti hai: -

 

........

 

 

........

 

 

 

.........

 

 

 

 

...........

 

 

 

 

............

 

 

 

 

 

............ .

 

 

 

 

............ ..

 

 

............ ..




............ ..



............ ..



............ ..

Nirma

Wahing powder nirma

Doodh si safedi nirma se aaye

Sabki pasand nirma