Something from heart - must read !!!

Ankur Garg (Company Secretary and Compliance Officer)   (114773 Points)

07 April 2012  

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA..

Khushiyo ka Khazana hota tha,

Chahat Chaand Kopane ki,

Dil Titli ka Diwana hota tha,

Khabar na thi kuch Subah Ki,

Na shaamo ka thikana hota tha,

Thank-haar ka aana School sa,

Par khelna bhi jana hota tha,

Dadi ki Kahani hoti thi,

Pariyo ka fasana hota tha,

Baarish main kagaz ki kashti thi,

Har Mausam Suhana hota tha,

Har Khel main Saathi hota tha,

Har rishta nibhana hota tha,

Papa ki wo daant glati par,

Mummy ka manana hota tha,

Gam ki zubaan na hoti tha,

Na zakhmo ka zamana hota tha,

Rona ki wajah na hoti thi,

Na hasana ka bahana hota tha,

Ab nahi rahi wo Zindagi jaisa,

BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.