Bhagwan aur kasai(butcher) a must read

others 2938 views 6 replies

Ek bar ki baat hai...Ek Kasai(butcher) tha wo bada Naik...mehnati....aur sacha insaan tha..

usene raste me ek pathar pada hua dekha..

Fir usse wo pathar acha laga...wo uss pather ko utha ke apne Shop pe le gaya...

Ab wo har Din uss Pather ko jor jor se meat pe patakta...fir meat chop karta...

Ek din ek pandit ne Wo pathar Us..Kasai ki Dukan me dekhi and uske dukan me gaya...

Pandit Uss kasai ko uss pathar ko meat pe patakte hue dekh kar Chillane laga...

"Arey Murak.....Paapi...tu janta hai kya kar raha hai"

Kasai ne kaha "Arey Maharaj Kyu Subhe Subhe Jatra Kharab Kar rahe ho aisa kya ho gaya??"

pandit ji ne usse kaha...ki wo jo pathar apne dukan me meat ko tender karne ke liye istamaal..

kar raha hai...wo darsal me SHALIGRAM JI hai....jinhe hindu pujte hai...

Pandit ne kaha...shaligram ji ko din pe nahlana parta hai...bhog lagana parta hai...

warna wo chale jate hai...and krodhit ho jate hai...

Pandit : "tune paap kiya hai tujhe SHALIGRAM JI bahut paap denge"

Kasai ne kaha pandit se ki koi upae batao ki paap ka bhagi dar na banu....

Pandit ne usse kaha ki laa Shaligram ji mujhe de...

Pandit Shaligram ji ko leke apne ghar chal ayaa...

Subhe shaam puja karta wo...shaligram ji ki..

Kuch din baad Pandit ko Shaligram ji Shakshat Roop me nazar aaye....wo bade krodhit thay..

Unhone Pandit se kaha...mujhe wapas uss kasai ke paas chor ke aa.....!!!

Pandit ne kaha Hey Bhagwan mujhse kya bhool ho gayi....aap uske paas kyu jana chahte hai jaha pe apko...maas(meat) me...gandagi me rehna parta hai..fir v aap waha jana chahte hai...

Shaligram ji ne kaha: Tum kya jaano sachhi bhakti kya hoti hai....sirf dhup dikhana...arti gana puja nahi hoti....jab tum aram se garmi me dophar me so rahe thay....me us kasai ke mehnat ke pasine se bhig raha tha...

Tum saal me ek bar mujhe Janamsthmi me jhula Jhulate ho....wo har din mujhe apne Taraju (weight scaler) me jhula jhulata hai...

Main meat..Gandagii...jaat paat...Dharam nahi janta wo sab tum insaano ki banai hui hai...

Jo insaan sacha hota hai...samay pe apna kaam karta hai....kisi ko sata'ta nahi...sabki maddad karta hai...

wahi sachi puja hoti hai......!!!!!!!!

 

Replies (6)

o insaan sacha hota hai...samay pe apna kaam karta hai....kisi ko sata'ta nahi...sabki maddad karta hai...

wahi sachi puja hoti hai......!!!!!!!!

Very true Aryan, True devotee is one who does his work without troubling anyone and also serves the society as a whole.

Dharam nahi janta wo sab tum insaano ki banai hui hai...

 

very well said bhagwan shaligram.

 Jo insaan sacha hota hai...samay pe apna kaam karta hai....kisi ko sata'ta nahi...sabki maddad karta hai...

wahi sachi puja hoti hai......!!!!!!!!

hume dikhane k liye koi kam nhi karna chaiye ,man se karne par bhagwan usi m khush ho jate h!!!!!!!!!!

 

 

Jo insaan sacha hota hai...samay pe apna kaam karta hai....kisi ko sata'ta nahi...sabki maddad karta hai...

wahi sachi puja hoti hai......!!!!!!!!

 

good one... keep sharing...yes

Originally posted by : Vandana Mulchandani

o insaan sacha hota hai...samay pe apna kaam karta hai....kisi ko sata'ta nahi...sabki maddad karta hai...

wahi sachi puja hoti hai......!!!!!!!!

Very true Aryan, True devotee is one who does his work without troubling anyone and also serves the society as a whole.

very true Aryan, accha kaam se zyada sachii pooja aur kuch nahin hein,

here is the further part of the story..

Brahmin asks the god "How can you love a butcher, he kills animals and sells the meat.."

Then God replied to find out the daily chores of the butcher.

Then  brahmin went to butcher to ask, he found out,

that Butcher's day begins with praying god for a minute, then he leaves home in search of animals which are already killed, if he found any, then he brings it to shop and sell, if he doesnt find any, means his shop is closed for that day....

Brahmin was surprised to hear that till day, the butcher never tasted meat neither killed any animal by himself...

Its a story from bhagawatha..

My dear brother, there is no such thing, we cant get in our Ramayana, mahabharatha, bhagawatha...

 

 

thank you so much once again Vandana Di!!!!!!!!!

 


CCI Pro

Leave a Reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register