ALL TIME FAVOURITE

Kuldeep Saini (CA FINAL) (44 Points)

03 February 2011  

 

Lehron se dar kar nauka paar nahi hoti.....
himmat karne walon ki haar nahi hoti....

nanhi chinti jab dana lekar chalti hai....
chadti deewaron par sau baar fisalti hai....
mann ka vishwas ragon mein sahas banta hai....
chad kar girna, gir kar chadna na akharta hai...

akhir uski mehnat bekar nahi hoti...

koshish karne waalon ki haar nahi hoti....

dubkiyan sindu mein gota khor lagata hai....
ja ja kar khali haath laut aata hai....
milte na sehej hi moti pani mein...
behta duna utsah issi heiraani mein...
mutthi uski khali har baar nahi hoti....
himmat karne walon ki haar nahi hoti....

asaflta ek chunati hai sweekar karo...
kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo...

jab tak na safal ho neend chain ki tyago tum...
sangharshon ka maidaan chhod mat bhago tum....
kuch kiye bina hi jai jai kaar nahi hoti...
himmat karne walon ki haar nahi hoti....

--HARIVANSH RAI BACCHAN