:-: aaj Ki Shayri :-:

Osama J. Q (IPCC / S.Y.Bcom Student)   (322 Points)

26 February 2011  
Originally posted by : Osama J. Q
sau bar chaman mahka sau bar
bahaar ayi,
duniya ki vahi raunaq dil ki vahi
tanhayi,
har dard-e-muhabbat se ulajha hai Gam-e-hasti,
kya-kya hame yad ayaa jab yaad uski ayi,
dekhe hain bahut hamne hangame-muhabbat ke,
agaaz bhi rusvayi anjam bhi rusvayi,
ye bazm-e-muhabbat hai is bazm-e-
muhabbat me,
diwane bhi saudayi farzane bhi
saudayi...