....?????.....?????.....????.....POEMS

others 1747 views 30 replies

MAIN KATRA HOKAR SAMUNDAR SE JUNG LADTA HU

MUJHE BACHANA SAMUNDAR KI JIMMEDARI HAI

DUA KARO KI HIMMAT SALAMAT RAHE MERI

YE EK CHIRAAG KAI AANDHIYON PAR BHARI HAI.

Replies (30)

YE KHAMOSH MIZAAZ JINDGI JEENE NAHI DEGI

 

IS DAUR ME JEENA HAI TO KOHRAAM MACHA DALO

 

nice. keep sharing

nice

Very nice.

AANKHO ME RAHA DIL ME UTAR KAR NAHI DEKHA

KASHTI KE MUSAFIR NE SAMUNDAR NAHI DEKHA.

 

BE WAQT JAUNGA AGAR, SAB CHAUNK PADENGE,

EK UMAR HUI DIN ME KABHI GHAR NAHI DEKHA.

 

JIS DIN SE CHALA HU MERI MANJIL PE NAZAR HAI

AANKHO NE KABHI MEEL KA PATHTHAR NAHI DEKHA.

 

YE PHOOL MUJHE KOI VIRASAAT ME MILE HAI ??

TUMNE MERA KAANTO BHARA BISTAR NAHI DEKHA.

 

PATHTHAR MUJHE KEHTA HAI MERA CHAHNE WALA,

MAI MOM HU USNE MUJHE CHHUKAR NAHI DEKHA.

 

 

 

IF SOMEBODY HAVE ANY POEM OR GAZALS PLZZ SHARE.

 

HAR EK DAUR KA MAJHAB NAYA KHUDA LAYA

KARE TO HUM BHI MAGAR KIS KHUDA KIBAAT KARE.

THESE ARE REALLY NICE.........PLS SHARE MORE LIKE THIS.......!!!!!!!!!!!!!!!

Nice

Dosti hay , aasan karna
Haq mushkil hay,uska ada karna.

Dosti may ho jaati hay khudgharzi aksar,
haq-e-dosti hay,dam dosti ka bharna.

log phool samajhthay hay dosti ko
Maray tasawur may kantay hay nigalna.

Khushi ahy dosti sab kay khayal may,
Maray khayal may hay,bahr-e-gham ka chlna.

Dosti hothi kisi ki mukhlisana
yahee tho hay dosti ka haq ada karna.

Hothi hay takleef aur na takaluf us may,
Gharz hotha hay hayat-e-dost ka sawarna.
isi dosti may hoti hay khoshio aksar,
is may hota nahee gham ka guzarna.

mukhlis dost ka phool say daina tashbeeh,
KAMRAN yeh tho shan us ka hay kum karna.
_________________
farah

dil dainay walay sab karhay hain yahan
Intizar may hain dil lainay walain hay kaha

yahee sochtay hay kabhi tho aayaga yar
sub dilwaloon ko jis ka hay barson say intizar
hum tho wahee hongay hamara yar hay jahan
intizar may hain dil lainay walay hay kahan

jab chorhna hi tha tho phir kyun kya iqrar
may tho chorh donga thujhay magar dil karta hay inkar
sada dil yeh daita hay khush rahay thu har jaga
Intizar may hain dil lainay walay hay kahan.

yeh pyar bhi ajeeb hay dil pa karta hay war
jism karay na karay dil kartha hay pyar
dil hum kisay day koi laina wala nahee hay yahan
Intizar may ahy dil lainay wakay hay kahan

dil say poochay koi dilwalon ka hal kya hay
bhugat raha hay jo dil dainay ki saza hay
haan maray yar ab aa bhi ja thu maray haan
Intizar may hay dil lainay walain hay kahan.
_________________
farah

जहाँ तक भी खुला आसमान बाकि है
मुझे पता है मेरी उड़ान बाकी है |

नया सफ़र मैं शुरू करू भी तो कैसे ?
अभी तो पिछले सफ़र की थकान बाकी है|

गुमान दिल में न रख, कि निकाल ले दिल की
अभी परिंदे में थोडी जान बाकी है |

वो जानता है कि वो मिटा नहीं सकता
वो फासला जो अभी दरमियान बाकी है |

मैं उसे वक़्त कि मानिंद याद रखता हूँ ,
गुजर गया है मगर निशान बाकी है |


JAHA TALAK BHI KHULA AASMAN BAKI HAI

MUJHE PATA HAI MERI UDAAN BAKI HAI

 

NAYA SAFAR MAIN SHURU KARU BHI TO KAISE

ABHI TO PICHHLE SAFAR KI THAKAAN BAKI HAI.

 

GUMAN DIL ME NA RAKH KI NIKAAL LE DIL KI,

ABHI PARINDE ME THODI SI JAAN BAKI HAI.

 

WO JANTA HAI KI VO MITA NAHI SAKTA,

WO FAASLA JO ABHI DARMIYAN BAKI HAI.

 

USE MAIN WAQT KI MANIND YAAD RAKHTA HU,

GUJAR GAYA HAI PAR BHI NISHAAN BAKI HAI.

very good, keep posting


CCI Pro

Leave a Reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register