article
454 Points
Joined August 2009
KAM SE KAM SAMAAN RAKHNA
ZINDGI AASAAN RAKHNA
FIKR AURON KI HAI LAZIM
PEHLE APNA DHYAN RAKHNA
HAR KOI KATRA KE CHAL DE
ESA KYA ABHIMAAN RAKHNA
BHEED ME GHUL KE BHI TU
APNI KUCHH PEHCHAAN RAKHNA
KANTO SE DUSHMANI LEKIN
PHULO KA BHI DHYAAN RAKHNA
TERE DIL ME JISKA DIL HAI
USME APNI JAAN RAKHNA
ZINDGI MILI HAI EK BAAR JEENE KO
APNE HAR KHWAAB KO PURA KAR DENE KA ARMAAN RAKHNA.