The judgement day - exclusive poem for ca students

CA Shammi Prabhakar (Managing Director) (2076 Points)

17 January 2012  

Yeh din bhi aakhir kaisa hai, yeh raat bhi humpe bhari hai.. 
Bas ek pal ki uss chahat mein, ye zindagi humne wari hai.. 
Jaane woh ek pal kaisa ho, jise dekhte aaye khwabon mein.. 
Bas uss pal sabkuchh achha ho, toh duniya ab ye humari hai.. 

woh waqt bhi bas kuchh aisa hai, jub har koi bas rota hai.. 
Kuchh gham mein rote hain koi, khushiyon se palkein bhigota hai.. 

ye dil bhi dhadke hai aise jaise bahar na aa jaye 
ab tak isne toh sabar kiya, par sabar bhi ab na hota hai, 

ummed toh bas ab itni hai, ki jo bhi ho woh achha ho, 
jis khwab ko lekar jeete hum, sapna woh humara sachcha ho.. :)

 

Written by - Shammi Prabhakar