POEM ON TODAY'S FAST LIFE

others 1170 views 5 replies



 



 





A very beautiful poem on today's fast life.


Celebrities, Wallpapers, Mobile, Software,  Windows XP Vista, Laptop Digital Camera reviews, Tips and Tricks, Health, Money


"
WAQT NAHI "


Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Lori Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,

Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.


Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Gamon Se Bhara ,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi
.


Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,

Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi........ .
.

__,_._,___
Replies (5)

great !!!!, is it your original writing ?

 

 

this is very true

 

 

 

Khwaahishe unhi ki puri hoti hai, jinke sapno me jaan hoti hai…
Pankh lagaane se kuch nahin hota, hauslo se udaan hoti hai…

Gr8

Ishq wale ankhon ki baat samjh lete hain,
sapno mein mil jay to mulakat samjh lete hain,
rota to asman bhi hai pyar k liye,
par usse barsaat samjh lete hain.


CCI Pro

Leave a Reply

Your are not logged in . Please login to post replies

Click here to Login / Register