Kya Baat Hai.... wah wah

Rajesh (Service ) (7576 Points)

04 October 2010  

Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake.

 

 

Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;
Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;
saath chalne ki soch bhi uski thee,

Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;
aaj akele hain dil sawaal karta hai
Log to uske the, kya khuda bhi uska tha????

 

 

 

Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,
jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya.

 

 

teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota!!!!!!


source: email