Kahe Hawa…
Uudchal,kahe hawa, in parindosa,
Kho ja badalo mein kahi…
Khule aasama me maza hai jo
Jamin ki kisi galiyo me nahi….
Kabhi thoda chal kar tu thak Jaega
Toh kabhi milo chal kar bhi nahi…
Yeh nazakat waqtki hai, ye samaj lena
isme dosh koi tera nahi…
Mil jaye manjil bhi tuje
Chen toh phir bhi nahi…
Lipatja in pedoki chhaose
Essa sukun ab kahi nahi…
Ghulja, kahe hawa, mujme istarha
Padchayi bhi na hogi kahin…
Na hokar bhi hoga pas sabke
Pehchan bhi esi na hogi kahin…
- Jayesh Mandalia