Jeevan ajib sa hai.............

Rajwant Kaur (B.com, CA Final ) (337 Points)

06 May 2013  

 

Meri Zindgi khuli kitab si hai,

Aur is mein panne (pages) bhi behisab se hain,

Likhna chaein agar hum apni kismet,

Toh Zindgi ke paas bahane bhi lajwaab se hain,

Kabhi haath chuda liya, kabhi akhon ko bhiga diya,

Kabhi sapno ko saja diya, aur kabhi mahal gira diya,

Iss ke khel khelne ka janoon bhi kabile tariff sa hai,

Fir bhi Log kehte hain ye Zeevan ajeeb sa hai…………….

 

Kabhi raton ko bhi need nahi aati,

Aur kabhi din ko bhi kwab (dreams) satatein hai,

Kabhi gairon sa yeh lagte hai,

Aur kabhi gairon ko bhi apna banate hain

Aur iss ka har pehloon rangeen sa hai,

Fir bhi Log kehte hain ye Zeevan ajeeb sa hai……………

 

Kwaishain  dekheen bhi yaahan jati hain bhulaee bhi,

Jeevan banaye bhi yahan jaate hain aur mitaye bhi,

 Sapne lute bhi jate hain aur sajaya bhi,

Faslein ghateye bhi yahan jate aur badaye bhi,

Phir na jane Kyun yeh jahan gumgheen(Sad) sa hai,

Fir bhi Log kehte hain ye Zeevan ajeeb sa hai……………

 

Kuch sapne chakna choor huye,

Kuch bewas aur majboor huye,

Kuch akhkhon se hain door hue,

Kuch se dil mein nasoor huye,

Iss mein haar rahi mareej (patient) sa hai

Sach hi kehte hain log ye Zeevan ajeeb sa hai…………….

Sach hi kehte hain log ye Zeevan ajeeb sa hai…………….

 

Thanks For Reading.......

Regards,

Rajwant Kaur