apne dil ki soun, afwahon se kam na le
mujhe yaad rakh, beshak naam na le
tera vehm hai k bhol gaye hum tujhe.
meri koi aisi saans nahi jo tera naam na le.
Replies (27)
Guest
Badi Koshish k baad use bhula diya,
Uski Yaado ko sine se mita diya,
Ek din uska paigam aaya-"Mujhe Bhool Jao",
Aur usne bhula hua har lamha yaad dila diya.
Guest
har ahat pe humain sirf teri talash hai
mujh se dur ho kar bhi to mere bohat pass hai
yaad na aya karo tum humain es kadar
k dil bhi mujh se poche dharkan kis k pass hai?
Guest
na jane zamane ne majbor es qadar kyon kia
k woh meri kisi baat pe thera he nahi
har ek se pocha tere na milne ka sabab
har ek ne kaha woh tere liye bana he nahi.
Guest
woh aaye meri qabar pe apne raqeeb k sath ghalib
koun kehta hai k musalmano ko jalaya nahi jata
Guest
meri zindagi k raaz main ek raaz tum bhi ho
meri bandagi ki pyas main ek pyas tum bhi ho
tum kiya ho kuch ho ya nahi ho
magar meri zindagi k kash main ek kash tum bhi ho
Guest
woh to es soch main sahil pe khara doob gaya
kitna gehra darya ka kinara hoga.
woh mera ho k bhi mehroom raha mujh se
kiya koi meri tarhan jeet k hara hoga?
Guest
bohat khamosh kal ki raat guzri hai
kuch tanha par kuch khas guzri hai
na neend aai na khawab koi
bas aap he ke khayalon k sath guzri hai
meri kahani ek band kitab si hai
jis se aaj tak kisi ne khola nahi
jis ne khola us ne parha nahi
jis ne parha woh samjha nahi
aur jo samjh saka woh mera tha he nahi
Guest
fasle kurb ki pehchan hua karte hain,
be sabab log pareshan hua karte hain
ye mumkin hai jahan toot kar chaha jaye
wahan bicharne k imkan hua karte hain