Bachpan ki yaadein

Rashid Imam (Officer (Indirect taxation))   (296 Points)

07 May 2012  

Bachpan ka zamana hota tha, Khushiyo ka khazana hota tha.

Chahat chand ko pane ki, dil titli ka diwana hota tha.

Khabar na thi kuch subah ki, na shaamo ka thikana hota tha.

Thak-haar ke aana school se, Par khelne bhi jana hota tha.

Dadi ki kahani hoti thi,Pariyo ka fasana hota tha.

Barish me kagaz ki kashti thi,Har mausam suhana hota tha.

Har khel me sathi hote the,Har rishta nibhana hota tha.

Papa ki wo daante, par Mummy ka manana hota tha.

Gam ki juban na hoti thi, na zakhmo ka paimana hota tha.

Rone ki wajah na hoti thi, na hasne ka bahana hota tha.

Ab nhi rahi wo zindgi jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA
..