Alfaaz

589 views 10 replies
Alfaazo ki thodi kami hai mere paas.... Varna baatein to main bhi achhi kar leta hoon..
Replies (10)

wwwaaaaaahhhhhh........

 

Keep sharing.......

 

for my frnd.....

 

Zarurat Hi Nahi Alfaaz Ki...

 

Dosti To Cheez Hai Bas Ehsaas Ki....


Paas Hote To Manzar Hi Kya Hota....


Door Se Hi Khabar Hai Humein....


Aapki Har Saans Ki.....

 

 

 

 

Ehsaas, jab tak rishto mein ehsaas jinda hai, tab tak rishta bhi jinda hai, jis din ye ehsaas khtam, us din rishta bhi khtam

Har baar hosla karte hain , phir khud hi toot jate hain....


Is dil ko khud hi samjha kar , is dil se har jate hain.....


Phir se ret ko muthi mein pakad ka r ,phisalta pate hain....


Ankhon mein samandar ko samette samette , chalkta pate hain......


Har baar kuch chah kar , woh khud hi kar jaate hain.....


Intezar karvate karvate , khud hi intezar karta pate hain.....


Na jane kyun is dil ko , samjha hi nahi pate hain....


Apne aap khud ko mana hi nahin pate hain......


Woh kya samjhenge jasbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi.....


Na jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain.......

Kittabo ke panne palat ke soch te hai, yun palat jaye zindagi to kya baat hai.. Tamannaye jo puri ho khwabo me, haqiqat ban jaye to kya baat hai.. Sab log matlab ke liye dhundte hai mujhe, koi bin matlab aaye to kya baat hai.. Jo sharifo ki sharafat me na ho, wo baat sharaabi keh jaye to kya baat hai.. Katal kar ke to sab le jayenge dil mera, koi baato se le jaye to kya baat hai.. Zinda rehne tak to sabko khushi dunga main, kisi ko meri maut pe khushi mil jaye to kya baat hai, kisi ko meri maut pe khushi mil jaye to kya baat hai.. :)

ALFAAZ HAI TO JAZBAATO KO MATLAB MIL JATA HAI,

 

RESPECTED PILLAI SIR, ALFAAZ AUR JAZBAAT HUM SABHI ME COMMON HAI, EK ALFAAZ HAI JO HUME EK DUSARE KE PAAS LAATE HAI AUR DOOR BHI KAR DETE HAI, BAS APNA NAZARIYA HAI DEKHNE KA...........

Sahi kaha Shashank G.. Kabir ji ne bhi kaha hai.. Aisi vani boliye man ka aapa khoy, auran ko sital kare aaphun sheetal hoy..

Bahot khoob rajat ji.........Bina kahe bahoto ki baat keh di aapne............

 

Isi baat pe,,,,,,,,    

Arz kiya hai........................

"Taarifey-ae-tahreer ka shor bahot tha uski 'ekta',

Yun Alfaajo ki siskiyan koi na sun saka meri".................

Bhut achhe Ekta G, and for you Ekta G.. "Taarifey-e-Tahreer ke iss shor me, bhuto ko nazar-andaaz kiya hum ne...... aap alfaajo ki baat karte ho, aapki saanse bhi sunayi di......"

Shukriya........Shukriya........


CCI Pro

Leave a Reply