Kya karoon (expression of heart)

CA Rajat Bajaj (Job) (1042 Points)

03 July 2013  
Jinse dil, dil hi dil mein baat karta ho.. Wo yun saamne aa jaaye to baat kya karuun.. Unki aankhon mein hon anginat jawaab magar.. Main nazar utha bhi paaun to sawaalaat kya karuun.. Sambhal sambhal ke rakhe har kadam raaston par.. Wo badmaashi se haath thaam lein to ehtiyaat kya karuun.. Khawaabon mein jinse milte hai hum chaand ke jeene tale.. Bhari mehfil mein gar bulaayein to mulaakaat kya karuun.. Jinse mil chuki huun main pehle kai baar bhi.. Unse mohabbat ki shuruaat kya karuun.. Jo meri rooh ko bhigaa de apne nigaahon ke samandar mein.. Wo mere shehar aaye to kahiye, barsaat kya karuun.. Geele geele chaand ka baadalon se yuun kehna.. Kaise aaun ki dekh rahi hai ye raat, kya karuun..