My first poem

Siddhant Chordiya (Chartered Accountant in Service)   (68 Points)

13 June 2013  

Maine ek month mei parivartan hote huye dekha hai.....

aaram ki zindagi ko khote huye dekha hai....

maine masti bhare september ko audit bhare september mei badalte dekha hai...

mummy ke hath k bne khane ka koi hotel k khane se match nai hai yeh b dekha hai..

jin cities mei jaane ka sochha b na tha (ratnagiri) un cities mei ja k dekha hai..

maine parivartan hote huye dekha hai...

chain bhari nind ko udte huye dekha hai..

sapno ko haqiqat ban ne ki raah mei aage badte dekha hai..

maine aanjan logo ko apna accha dost bante dekha hai..

iss city (Mumbai) mai maine mehnat ko kimat milte dekha hai..

maine parivartan hote dekha hai...

paneer ko sbse jyada pasand karta tha khane mei ab us ko dekhne ka b mann nai karta hai..

jis september mnth se pyar tha..

usse apna dushman bante dekha hai...

kehne ko "parivartan hi sansaar ka niyam hai..."

maine ise mehsus karke dekha hai...

maine parivartan hote huye dekha hai....

By:- Siddhant S Chordiya

email:- siddhantc3 @ gmail.com