Hausla abhi toota nahi...

Santhosh Poojary (SIEMPRE AHÍ PARA TI) (15607 Points)

19 September 2014  

Tu rakh hausala wo manjar bhi ayega,
pyase ke pas chalkar samandar bhi ayega,
thak haar ke na rukna ae manjil ke musafir,
manjil bhi milegi milne ka maja bhi ayega...


Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai
Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to naapi hai mutthi bhar zamin
humne
Abhi to sara aasman baaki hai.

 

Duniya ka har shoq pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko unchala nahi jata,
Mehnat karne se ho jati h mushqile assan,
Kyunki har kaam taqdir par taala nahi jata....


Samandar me dubne wale pani ko dos dete hain

Muqaddar kharab hone par log kismat ko dos dete hain.

Khud rakhte nahi pawn dekh kar jamin pe

Tokhar lagne par pathar ko dos dete hain.

 

behtar se behtar ki talash karo. mil jaye nadi to samandar ki talash karo.
tut jata he sheesha pathar ki chot se. tut jaye pathar aisa sheesha ki talash lo.