CA Aisa kyun hai...

Mayank Kothari (CA) (919 Points)

21 December 2010  

Bachha CA me enter hua





CPT nikla

PCC tin- Char attempt me nikla





final me aur tin char attempt lag gaye





aur ab aakhir kar vahi bachha CA ban gaya





pata nahi kyun log CA ban-ne ke bad khud ko bhagwan se bhi upar man-ne lag jate hai













Itna attitude aa jata hai logo me ki bas unse bada to koi ho hi nahi sakta 







ye jante hue ki vo sirf limited field ke hi master he





par attitude to itna ki jiski koi sima nahi





clients ko to bhav tak nahi dete,



Kuch CA to apne articles itni what lagate he jiski khud ki koi sima nahi



mai agar jhuth bol raha hu to aaj Articles " Articleship se life barbad ho gayi"





bolne ke bajay "Articleship sach me acchi he yaar"

ye bolte



par kyun nahi bolte



ek do ki baat to man sakte hai



par jab ek hi bat lakho articles kehte hai to kuch to sachhai hogi na usme



Articleship me insan kam sikhne aata hai, 

hamali karne nahi-



ye experience hai mere ek article dost ka apni firm me, vaha use aaye din peon ki tarah kam

diye jate hai.





chai lana, stationery kharid ke lana, and many more



CA ki value kya Char rupaiye ki chai jitni reh gayi hai



CA Bosses kyun bhul jate hai ki hum articles hai unke employee(naukar) nahi.









hamare aur ek niji dost ne mujhse ye kaha ki





"yaar mere firm me CPT ke bad maine puri imandari se kam kiya, par jab PCC ke liye chutti

mangne ki bari aayi to Boss ne Chutti dene se mana kar diya. unhone kaha ki sirf 2 mahine ki

chutti milegi"





jab ki insititute 3 mahine ki allow karte hai.



aur jab maine sir ko fir se manane ki koshish ki to kehne lage ki 109 bhar do aur puri chutti

le lo"





PCC ko sirf 3 mahine baki hai, aur vahi CA use 109 ke chakkar me idhar udhar bahgana

chahta hai, insan padhe ya phir institute ki hamali kare





mai kehta hu institute jo result lagati hai vah puri tarah se thik hai, us-se mujhe kisi tarah ki

koi shikayat nahi.



they are going as per their rules



but only till when the rules are against articles\, 



those favouring articles like 3 months leave, are not implemented strictly





kisiko aaj bhi Dummy mil jati hai, kisi firm me 6 mahine ki chutti mil jati hai.





  aur kisi ko 2 mahine ki bhi naseeb nahi hoti.





Sach bata raha hu mere friend ke firm me Boss ne exam form jan bhujhkar sign nahi kiya

tha aur uska final ka attempt delay ho gaya





kya institute janti hai ye sab bhi hota hai unke yaha



Kuch bosses ka kehna hai ki hum bhi bade papad belke CA bane hai



mai kehta hu ki mai bhi papad belne ke liye taiyar hu , par papad padhai ka, papad hard work

ka





naki Papad Boss ki hamali ka





Bata du un CA ko k





Bhagwan se bada koi nahi hota 





Agar Attitude hai to vo apne jeb mai rakho,





kya missal kayam ki hai CA's ne?????





  aajtak nahi paper, nahi news, nahi history kahi bhi CA ka nam sun-

ne me nayi aaya





janta hu Code of Conduct ko mai bhi, ki CA service dene ke liye paida

hue hai Advertisement ke liye nahi





Ya dusri tarah se bolu to CA se log kam karvane tak sirji - sirji bolte

hai





aur badme Pith peeche "Gali"





ye sab apne man se nahi, practical experience se bata raha hu







kabhi CA se hath ke mango People ki seat pe baitho to pata chale





Desh ki mahan hastiyo me kahi bhi kisi CA ka nam nahi



par bhi sab ko ghamand hai CA hone ka





aur jis tarah office mai treat kiya jata hai article ko vo sirf article

hi janta hai.