Awsome poem for ca

CA AnKiT BoHrA (AB) (Manager) (25955 Points)

08 January 2015  

Kahaani OF A CA FINAL STUDENT:

 

"Pahle sochte the ki CA income ka accha source h,
Phir pata laga ye to jaanlewa course h,

 

CPT and IPCC to phir bhi clear ho gayi,
Par Final me aake saali kismat b so gayi,

 

Ekta kapoor ke serial pure ho jaye hamare AS nahi hote,

Amalgamation and holding bhi padhte h rote rote,

 

SFM ke formulo me to sari saanse atak jati h,
Samajh to sab aata h, exam me wat lag jati h,

 

Audit ko padhte padhte esa sadma lag gaya,
Vitamin C khane walo ko bhi chashma lag gaya,

 

Law ki book to esa asar kar jati h,
1 page padhte hi neend aa jati h,

 

Costing ke paper me OR ka kya kaam h,
Koi galti se paas na ho jae ye ICAI ka plan h,

 

ISCA to bilkul ese h jaise ki apna ishq,
har mod par h hume fail hone ka risk,

 

DT ka syllabus mujhe samandar sa lagta h,
Kuch padhte h usse pahle amendment aa tapakta h,

 

IDT me to sections, clauses and rule h,
Sare din padhte rahe, hum hi fool h,

 

Ye dagar final ki bahut jyada tough h,
Hum pass honge qki ek seat apne liye book h.."

 

 

Do Take it Lightly Guys...!!!!!!!!!!